Prerna Diwas Sep 7 2014

Summary of Nirankari Baba Ji’s Blessings (7-Sep-14, Prerna Diwas of Nirankari Rajmata Ji, Delhi)

PrernaDivas

Prerna Diwas Sep 7 2014

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji
1) Bache, jawaan aur buzurg, har kisi ke zahen aur zubaan par ek hi zikr hai, aise jeevan ki mahima ke roop mein, jo bahut hi bahut durlabh hai. Aisi shaksiyat ka, jo har pehlu se bhara hua, poorn roop mein gunkaari aur gunno ki khaan raha hai, jo bahut hi durlabh hote hain.
2) Kisi mein 1 ya 2 gunn hon bhi, toh negetives bhi hote hain, par Rajmata Ji ke toh gunn hi gunn the, isliye gunno ki khaan kaha gaya. Aisi mithaas, jo har kisi ko baantane mein laga raha jeevan. Maalik ko jaannane ki jigyasa shuru se rahi aur 8-9 baras mein hi ise jaan liya aur isko uncha darja dena shuru kar diya. Geetkar aur kavyitiri ke roop mein bhi Parmatma ne gunn baksha aur unke bahut hi gehre bhaav the.
3) Rajmata Ji ne geet likhe 50’s aur 60’s mein, aur unki 3-4 saal pehle CD bani. Kabhi bhi unhone nahi jataaya ya chaaha ki maine geet aur kavitaayein likhi hain toh unki CD bana do. Sansaar mein gunn na hote hue bhi chaahna hoti hai ki pehle meri CD ban jaaye par unki bhaavna alag rahi. Gunn aur Maan honde hue bhi nimaana rehna, uski, isse badi misaal nahi milegi. Jis shaakh par sabse zyada phal hote hain, vo sabse zyada jhuki hui hoti hai. Agar kisi mein koi gunn aata hai toh vo ahankaar ki taraf bad jaata hai, abhimaan mein choor ho jaata hai, akarta ki jagah karta bhaav aa jaata hai, par Nirankari Rajmata Ji ki vinamrata bani rahi.
4) Shahenshah Ji se Gyan ki daat li, khoob prachaar kiya, phir parivaar mein shaamil hue, Shahenshah Ji ka bahu ke roop mein bhi satkaar banaaye rakha. Phir vo sama aaya jab Shahensha Ji ne Baba Gurbachan Singh Ji ko chunn liya. Jab Rajmata Ji ki mic ki awaaz baraamde mein se andar aati, toh Shahenshah Ji kehte the ki Rajmata Kulwant Ji nahi bol rahe, unko shaktiyaan mili hui hain, vahi bol rahi hain.
5) Unhone kahin koi aisi kaarye nahi kiya jo Baba Gurbachan Singh Ji ke prachaar mein baadha bane. Unka apna hi bahut bada itihaas raha, kuch chapters mein vyaakhya karne se baat bannani nahi hai. Bachchon ko bhi prerna di Satsang aur Sewa ki. Khud bhi vardi pehankar jimmevaariyaan nibhani, behno ke saath tave pe rotiyaan sekni, prashaad banaana aur auron ko bhi Sewa ki prerna di. Uske baad se, behne bhi Sewa mein bahut important role ada karne lag gayi. Unme bhi utsaah raha ki humne bhi desh bhar mein Satye ki awaaz ko ghar-ghar pahunchaana hai. Uske liye bhi Rajmata Ji prerna dene waale aur maargdarshak bane.
6) 1980 mein jab daas par ye jimmevaari aayi toh chaaro taraf andhkaar hi andhkaar tha. Ek gaane ki pankti ki-
‘Sitaaron, andhere tumse kahaan sambhalte hain, Unhi ke nakshe kadam se chiraag jalte hain,
Unhi ko dhoond ke laao, bahut andhera hai.’
24 Apr 1980 ko chaaro taraf andhkaar hi mehsoos ho raha tha. Sansarik rishte se Rajmata Ji ka jeevan saathi chala gaya tha aur Guru bhi chala gaya tha. Phir sabne socha ki Rajmata Ji vo taakat aur shakti apne bete ke roop mein dhoond rahe hain, par sach ye hai ki vo taakat aur shakti daas ne li Rajmata Ji se. Uss ghatnachakr aur andhkaar ke samay mein bhi vo sabko sambhaalte rahe, uttejit hone se rokte rahe aur Satye ke liye yogdaan dete rahe.
7) Tabiyat kaisi bhi rahi, unhone Satye ka prachaar nahi chhoda, Satsang mein nirantar jaate rahe. Jab saans bhi theek nahi chali aur agle din 150 km doori par Sangat hoti thi, phir bhi chale jaate the. Pichle Samagam se bhi 2-3 roz pehle, vo Hospital mein the, saans lene mein takleef hoti thi, Doctors ne kehna ki dhool aur dust se aapko bachna hai, infection level bahut zyada tha, phir bhi 1-2 din rest kiya aur teesre din jaakar unhone sangat ko darshan diye. Samagam 8 hours tak chalta hai, phir bhi vo aate rahe aur viraajmaan hote rahe. Uske baad prabhat pheri mein bhi 6 hours tak silsila chalta hai, vaha bhi unko kaha ki, ki 1 ya 2 hours ke liye shaamil ho jaana, par vo 4.5 hours tak dhool ke baavjood rahe. Unhone kabhi bhi apne kadmo ko rukne nahi diya hai.
8) Unhone har jeevan ko chhua hai, har ek ko comfort diya hai, unme se aisi tarange nikalti thi ki har koi sakoon mehsoos karta tha. Pichle Sunday aur poora hafta hi unka zikr Satsang mein chalta raha. Har prakaar ke pehlu ka zikr hota raha aur aaj bhi poore vishv mein unka zikr ho raha hai aur ye silsila aage bhi chalta rahega.
9) Jab-jab bhi Bhakti ka zikr aayega, jab-jab bhi aise Vardaano ka zikr aayega, jab-jab bhi Vinamrata ka zikr aayega, jab-jab bhi Prernao ka zikr aayega, jab-jab bhi Sahensheelta Vishaalta ka zikr aayega, jab-jab bhi Mithaas ka zikr aayega, jab-jab bhi Dulaar ka zikr aayega, jab-jab bhi Mamta ka zikr aayega, toh avashye hi Rajmata Ji ka zikr aayega hi aayega. Aisi daulat unhone pradaan ki hai, ki uska koi mol nahi hai.
10) Har kisi ko unhone kadam-kadam par samjhaaya aur shikshayein dete chale gaye. Kamiyon ke bawjood unhone har ek ko gale lagaaya.
Shayar ka sher ki-
‘Meri badsalookiyon mein bhi mujhe gale lagaati rahi,
Aagosh mein lekar apne, mere aib chupaati rahi.’
Maa ka aanchal, chaaya ka hi nahi hota, vo kamiyon ko bhi aaanchal mein chupaati hai.
11) Rajmata Ji aksar sunaate the ki –
Ek bacha school se kisi aur ki pencil ya rubber utha laata tha, toh Maa ne toka nahi, khush ho gayi ki chalo samaan aa gaya ghar mein. Bada hokar bhi uske karm vaise rahe aur vo pakda gaya aur usko salaakho ke peeche daal diya gaya. Jab Maa milne gayi aur bete ne kaha kareeb aao ki kaan mein kuch baat karni hai. Jab Maa kareeb gayi toh bete ne apne daaton se Maa ka kaan kaat liya. Vo peeda se chillaayi aur door ho gayi. Phir bete ne kaha ki Maa jab main choti-choti cheezein chura raha tha, kaash tu uss waqt mere kaan kheenchti aur mujhe samjhati toh ye din naa dekhna padta.
Toh Rajmata Ji samjhaate the ki bachpan se hi hum bachcho ko sanskaar waale banaayein aur Sangat ke saath jodein.
12) Unhone kehna ki sabke saamne ya pariwaar ke logo ke saamne kisi ki burai ke baare mein kuch nahi kehna, usko bula kar, darwaza band karke vo pyar se samjhaate the. Ek Maa sabke saamne bhi suna sakti thi, par hamein bhi, apne bacho ko bhi, vo alag se samjhaate the. Hum aksar sochte hain ki main usko 100 logo ke saamne sunaunga ya bhari sangat mein sunaane ka bhaav rakhte hain. Vo Maa hokar bhi suna sakte the, par vo parde dhak kar rakhte the. Sanjeedgi unme choti umar se aa gayi thi isliye unhone hamesha samjhaaya aur raasta dikhaaya.
13) Unki Shakshiyat, Wajood aur Divinity aur har ek pehlu vo prerna lene laayak hai. Isi prakaar sab prerit rahein, sahi maayno mein prerna le paayein ki unke jeevan ka anukaran kar paayein.
14) Shahensha Ji ke samay koi sahuliyat bhi nahi hoti thi, Baba Gurbachan Singh Ji ke samay bhi suvidha nahi thi par vo apne apko dhaalte gaye aur nirantar prachaar aur prasaar mein apne yogdaan dete gaye.
15) Dataar sabhi ko taufeeq de, ki vo samjhaate rahe aur mana karte rahe, uss raaste par na chalein jo bhakti waala nahi hai, kadwe bol na bolein, kisi ko aansu na dein, kisi ko bura bhala na kahein, apne aapko nimaana maan kar doosro ka aadar satkaar karte jaayein. Unke jeevan ka anukaran sabhi kar paayein aisi hi ardaas aur praathna hai.
16) Jo Maa ka darja hota hai, kisi ki bhi Maa ho, Maa ke wajood ke baare mein kitna kuch likha gaya hai, geetkaro aur kaviyon ne kitne sunder roop se darshaane ka prayaas kiya hai, unhi mein se ek pankti ki-
‘Maa varga karchchaava boota kidre nazar naa aaya,
Jiston leke rab ne vi swarg da roop banaaya’.
Yaani ki Maa ki chaaya swarg waali chaaya hai.
17) Rajmata Ji ne lagataar Bhakti ke maarg par Simran, Sewa aur Guru ke mahetv ka ehsaas karaaya, vahaan par Sadh Sangat roopi Maa ka bhi ehsaas lagataar karaaya. Maa roopi hoti hai Sadh sangat. Isi Sadh Sangat roopi Maa ki chaaya mein sabhi rahein. Choti-choti baat ko lekar Sadh Sangat se door na ho jaayein, Sadh Sangat se door hone waali pravirti na ho. Sabhi Sadh Sangat aur iss parivaar ke saath jude rahein aur apne jeevan ko sunder roop dekar aage se aage badte chale jaayein.
Dhan Nirankar Ji

You may also like...