67th Sant Nirankari Samagam, Guru Vandana 18 Nov 14, Delhi Vichar

Summary of Baba Ji’s Blessings (67th Sant Nirankari Samagam, Guru Vandana, 18-Nov-14, Delhi)-

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1) Iss samagam ke chauthe roz aap sabhi yahaan mil baithe hain. Ek shradha aastha liye mann mein, maanavta insaaniyat ke prati. Aur jinhone manavta aur insaaniyat ko hamesha uncha darja diya aur kadam-kadam par humein chalna sikhaaya, unke jeevan ke drish bhi abhi pesh kiye gaye, ek sunehri itihaas ka hissa asake saamne rakha gaya aur har mann keh reh hai ki Rajmata Ji ki den ka mol hum nahi chuka sakte hain aur na hi vo shabdo mein bayaan ho sakta hai.

2) Gurmat kya hai aur Bhakti kya hai iska sandesh unhone lagataar diya. Aaj bhi subah jab maidaano mein tents mein jaakar santo ke darshan karne ke mauke mile toh Rajnata Ji ke tasveerein aur ‘Maa tujhe salaam’ ke sandesh ke drish dekhne ko mile. Toh ye kewal ek din ka silsila nahi hai, jeevan bhar hum unse prerna lete rahenge.

3) Itni yatra jo unhone tey ki, jawaani ki umr se hi naach-gaakar aur apne aakhiri samay tak unhone yahi maanga ki-
‘Phir vi milaayi rakhi Santa di toli vich’.
Unke vichaaro aur geeto ka ek-ek shabd gehra aur unchai waala tha. Kuch roz pehle purani magazine mein bhi daas dekh raha tha, usme Shaneshah Ji ki vichar padne ka mauka mila jisme unhone zikr kiya ki Rajmata Ji ko pooran shaktiyaan mili hain. Unhone kaha ki-
‘Jad Rajmata e baar-baar keh rahi hondi hai ki “Sukh saare duniya de paade meri jholi vich”, te Mata nu kisi cheez di kami nahi hai, e twaade vaaste aur sansaar vaaste mangdi hai’.
Unhone yahi kaha ki Rajmata Ji badi shaktiyo ke maalik hain aur Guru ka saath dete hue Mission ko aage badayenge. Humne dekha ki Shahenshah Ji ka ek-ek vachan Ssatye saabit hua. Hum bhi saare jahaan aur har gursikh ke liye shubkaamna karte rahein.

4) Aisa unchayi wala jeevan unhone jiya jiske nazdeek bhi hum nahi pahunch sakte hain par humne jatan karne hain Gurmat ke saanche mein dhalna hai.

5) Pandaal ki rooprekha dekhne ka jab mauka mila kyunki intezam ke lihaaz se pehle aane ka mauka mila aur stage par 2 kursiya dekhi toh ajeeb mehsoos ho raha tha. Kuch zubaano se nikla ki stage choti lag rahi thi. Toh stage isliye choti nahi hai ki kursi kam hai, Rajmata Ji ek bahut bada astitv hain, uski kami hai, isliye stage choti hai. Vo andar baahar se ek the, guno ke dhani the, bemisaal jeevan unhone pesh kiya.

6) Unhone sabki sambhaal ki har waqt mein aur unka dayaalu hirdey tha. 24 April ko jab Baba Gurbachan Singh Ji ne tyag kiya aur uske chand roz baad America se ek parivar shadi ke liye aaye the. Mahaul mein udasi thi aur shadi ki baat karna ajeeb lag raha tha aur parivar ne socha ki wapas jaate hain aur kuch dino ka gap daalte hain. Rajmata Ji ke kaano me ye awaaz padi toh unhone kaha ki abhi shadi kardo taaki dobara unka itna kiraya na lage. Jis tarah unke mann mein daya aur karuna ka bhaav aur doosro ki considerations kitni majboot rahi hain.

7) Rajmata Ji ne sada utsaahit rakha ki jeevan chalte rehne ka naam hai, isliye pehle ke Samagamon ki tarah iss Samagam ka anand bana raha aur isi tarah se aap chalte jaayenge aur Satye ka prachaar karte jayenge aur Gursikhi ko apnaate jaayenge. Daas bhaavna se maskeen bankar apna kad uncha karein jaise Rajmata Ji ne kiya aur usi ka aachran anukaran karte jayein.

8) Once i was travelling and outside a church a lune was written-
‘Spread the gospell of God, use the words if necessary’.
Our life should speak volumes, thats what was the life of Rajmata Ji. She spoke through her actions. Unhone kewal den Mission ko hi nahi, sansaar ko di hai. Mahatma saare sansaar ke liye hote hain. Unki den samaaj, mulkaur vishv ke liye hai. Unki kadar hamaare dil mein hamesha bani rahe.

9) Unhone hamesha ‘Tu’ ko mahetta di aur Nirakar mein poorn aastha aur vishwaas kayam rakha. Tu mein unhone apne aapko gavaaya hua tha.Vahaan ‘main'(ego) nahi thi, kewal aur kewal Tu tha. Jo ‘main’ se bhare hote hain unke liye kaha hai ki-
‘None are so empty as those who are full of themselves’.
Main aur mera nahi ‘Tu aur Tera’. Not me and mine, just thy and thine.

10) Unhone ek misaal pesh ki aur iss naam ke ras mein ghul mil gaye. Kisi ne likha ki-
‘Ek bataasha mein bhaiyi piya roop hai taal,
Doob-doob Pi taal mein ghul-ghul hui nihaal’.
Iss Nirakar se hatkar kuch dikhaayi na de, Gyan ki jyot hamesha jagi rahe.

11) Aap sab door-door se chalkar Samagam mein aaye aur iska bhavye roop bana. Aap sabne isme yogdaan diye. 3 dino mein vibhinn karyekramo ka bharpoor aanad liya gaya. Aaj subah shobha yatra mein bhi dekha ki kewal aur kewal Pyar chhalak raha tha, jab Pyar define nahi kiya ja sakta toh vo Pyar aankho se chhalak uthta hai. Sunder roop mein ye ek-ek pal beeta hai. Kalaakaro ne sunder dhang se abhi Guru Vandana konpesh kiya, sanjeedagi bhi bani rahi aur paigaam bhi jaata raha aur Rajmata Ji ka sandesh bhi sabke saamne rakha gaya.

12) Aap sabhi apne-apne gharo ko lautkar ye Satye ka paigaam dete rahenge aur sach ki awaaz ko aage pahunchayenge, apne aapko Gurmat ke anusar nibhaate chale jayenge. Dataar sabko duniya ke sabhi sukh pradaan kare. Yahaan ‘Harmony in Oneness’ ka naara diya gaya, agar main meri pravesh karti hai toh kewal ‘mess’ reh jaati hai. Oneness ke dwaara hi harmony sambhav hai. Iske ehsaas mein rehte hue hum aage se aage badein aur sunder misaal samaaj ke liye pesh karte chale jaayein. Sabhi iss ahem aur ahankar ko mita dein. Iss Gyan ka poora anand lene ke liye, sachche mayno mein sakoon haasil karne ke liye, apna vajood mitana hoga. Aakhir mein do panktiyaan ki-
‘Jab-jab baaje baansuri rahe na mujhko dhyaan,
Gopi hun ya baansuri rahe na mujhko taan’.
Madhur Pyar ka sangeet goonjta jaaye aur Pyar ka jahaan hum basaate chale jayein.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

You may also like...