Summary of Nirankari Baba Ji’s Blessings (67th Nirankari Sant Samagam Day 1, 15-Nov-14, Delhi)

Summary of Baba Ji’s Blessings (15-Nov-14, Day 1, Delhi)-

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1) 67ve Sant Samagam ke avsar par aap sabhi laakho ki sankhya mein upasthit hue hain jismein desh ke aur vishv ke praanto ki numayendagi hui hai aur anekta mein ekta ka swaroop bana hai. Aap manavta ke liye prarthnaayein kar rahe hain aur Peer Paigambro ke sandesh ko aage bada rahe hain. Aapke darshan karke bahut prasannata mehsoos ho rahi hai.

2) Mission jo yogdaan de raha hai samaaj aur desh ko, uski acknowledgement aur saraahna humne aaj dekhi. Gandhi Global Family ne jo daas ko samman diya, yaani ki Mission aur iske asoolon ko samman diya jo Love, Compasion aur Tolerance par adhaarit hai. Mahatma Gandhi Ji ne bhi tolerance ka pramaan aur shikshayein di. Different countries se Doctors ki team aayi hain who have teavelled from far off to attend this Samagam where saints are giving strength to the message of Love. These Doctors are healing people and they have donated thousands of dollars to heal people who are sufferring. I thank them for their kind gesture. In Jan 3rd week also, in Mumbai we had team of doctors and this time as well we have team. Once again i thank them and i have all praise for them and i pray Almighty to give them strength for their noble cause.

3) Insaan aksar asoolo ka zikr karta haib par usko apnaaya kam jaata hai. Jab usko dhaal liya jaata hai apne jeevan aur vyavhaar mein tabhi baat banti hai. Santo ko unhi shikshaon ko yahaan yaad kiya ja raha hai jo isi par adhaarit hain. Harmony in Oneness yaani Ekatv mein sadbhaav. Barriers aur dooriyon ki bajaaye Ekatv ka bhaav ho kyunki this Almighty is one, only then we can be one.

4) Ye Oneness ya Harmony, yahi santo ne ummeed ki aur yahi chaaha tha par halaat vipreet nazar aate hain jahaan jaati mazhab praanto ki duhai dekar insaan, insaan ka aur manav jaati ka nuksaan kar raha hai. Lekin vo bhi hain jo dharti ko bacha rahe hain aur jo manviye mulyon mein yakeen rakhte hain. Jo dharm grantho ke aage keval sajde nahi karte balki uspar chalte hain aur doosro ki peeda harte hain. Aise logo mein ijaafa ho taaki ye dharti jannat ban jaaye.

5) There is so much violence and intolerance in the world. We cannot tolerate language and cultures of others. There are instances of road rages. If somemone doesnt give way to my car i come out and shoot him, toh aise udhaaran dekhne ko mil rahe hain. Iske vipreet, unn logon ki saraahna hai jo vaakayi hi positive attitude waale hain, jo desh ko aage badaane ka aur vishv mein aman ke liye prayaas kar rahe hain.

6) Hum miljulkar rahein. Ye zindagi hamesha chalne waali nahi hai aur ye jeevan kewal padaav hai jiski miyaad kisi ko pata nahi hai kyunki agle pal ka nahi pata hai. Humne apne aapko uss roop mein dhaalna hai ki hum bhi maanavta ka rutba buland karein aur inhi pehluon ko majboot karne mein yogdaan dein.

7) Mangal yaan ki kitni badi uplabdhi rahi aur sabko mubarakbaad di gayi. ‘Mangal Yaan’ ke shabd ko suna toh dhyaan aaya ki ‘yaan’ kehte hain vehicle ko, toh hum bhi kyu na saare yaan ban jaayein har ek ke jeevan mein mangal laane ke liye, hum vo vehicle aur medium ban jaayein, ek doosre ke hitkari banein aur ek doosre ke dukh sukh ko baante.

8) Lekin kewal baato se baat nahi banegi ye karne se hoga aur kewal ek ke nahi sabke milkar karne se hoga. Jaisa kehte hain ki-
‘You cannot whistle a symphony it takes a whole orchestra to play it.’
Love is a commodity which is becoming so rare now. Iski kami ko poora karna hai, kewal pyaar waale rishte hi banaane hain. Prem hi hum ek doosre ko baante.

9) Loving our neighbours and Love thy neighbour, aise bhaav humne aaj bhi sune. Kabir Ji ne kaha ki- ‘Dhai akshar prem ke pade so pandit hoye’. Mission ka bhi ye naare ki-
– ‘Pyar sajaata hai gulshan ko aur nafrat viraan kare.’
‘Goonje gagan mein, maheke pawan mein, har ik mann mein, ho sadbhawna’.

10) Diversity toh sansaar mein rahegi aur yahi khoobsoorti hai. Hamaari asahensheelta ne iss khoobsoorti ko abhishaap bana diya hai. Aaj bhi aneko bhashao aur praant waale upasthit hain, yahi Ekta hai , yahi khoobsoorti hai. Galaxy mein kitne planets aur stars hain jo ek jaise nahi hain, yahi khoobsoorti hai. We have deserts, oceans, streams, greenery, flowers, there is so much diversity in nature ansd that should be in humans too. Uniformity ki zaoorat nahi hai. Uniformity ki nahi Unity ki zaroorat hai. We have beautiful Mosaic, we have to accept that.

11) Aaj Pyaar Manavta aur Bhaichaare ki zaroorat hai jisko mazbooti dene ke liye aap aayein hain aur iski shobha bana rahe hain. Aapki sewayon ke kaaran hi iski shobha bani hai.
Sabhi har ek pal ka anand lein, yahi ek shubhkaamna hai.

12) Aaj 67va Samagam ho raha hai aur Rajmata Ji ki aakriti sabke dilo mein hai jinhone pehle ke 66v3 sabhi Samagmo mein upasthit rahe, unki den naari jaati ko hi nahi, manav jaati ko rahi hai jiska bayaan ye zubaan ya lafz nahi kar sakti. Aisi den bhulaane se bhooli nahi ja sakti hai. Humne usi raaste pe chalna hai, shareer se upar uthkar unhone Satye ka paigaam diya. Kabhi bhi unhone apne kadam rukne nahi diye aur hamaare liye vo prerna ka kaaran bane hain aur Gursikhi aur Bhakti ki charam seema bankar unhone sunder roop pesh kiya. Unki aasheeshein aur shikshayein hum hamesha apnaaye rakhein aur Gursikhi ke raaste pe chalte jaayein.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

You may also like...